Mai nadi si chanchal itraati , ithlati
Apni lahron se jeewan sangit gunjit karti
Ufanti aakash ka abhinandan karti
Bahti thi apni dhun mein
Lekin
Shahron ke dayron ne
Logon ki sankeern maansikta ne
Baandh diya mere veg ko
Cheen li meri alhad muskan
Meri almast chanchalta
Meri masoomiyat par uthaye anginat sawal
Aur Sarswati si Mai thahar gayi ho gayi lupt
Ab nahi paoge tum mujhe kabhi apne saath
Ab sirf simat kar rah gayi apne udgam sthan
Jahan aaj bhi mai bah rahi apne prachand pravaah ke saath
Tanha , khamosh Prakarti ke aanchal mein
Ishwar ke dham
Jo kabhi nahi karte mujhse koi sawal
Nahi uthate mere astitv aur mere charitr par koi sawal
Nahi miloongi mai ab kabhi tumhe
Jeewan ke kisi maud par yadi milna chaho to
Aana hoga tumhe mere udgam sthan
Par suno mera jal ab chanchal aur meetha nahi raha kyunki usme ab samahit ho chuki hai mere ashkon ki jheel !!!!!!!!